Intro
It should be noted that in the very first edition of Arba’in (1900), MGA and his team of writers wrote that “Anbiya” (prophets) had said that the Mahdi would come in the 14th century and near the Punjab, however, in the 2nd edition (1920), they wrote a footnote wherein it was stated that this was a clerical error and the word should have been “auliya”. In 1984, when Ruhani Khuzain was created, the footnote was totally removed. Manzur Ahmad Chinioti explains this situation in this video. We have placed the clip by Manzoor Ahmad Chinioti on tik tok, see herein.

_____________________________________________________________________________________________ 1900, Arba’in
Arbaeen 1920
1984, Ruhani Khuzain
Arbaeen R K Vol 17 2008 Edition

It should be noted that in the very first edition of Arba’in, MGA and his team of writers wrote that “anbiya” had said that the Messiah would come in the 14th century, however, in the 2nd edition (1920), they wrote a footnote wherein it was stated that this was a clerical error and the word should have been “auliya”. Manzur Ahmad Chinioti explains this situation in this video. Watch my tik tok on this also. See our book review on Arba’in for details.

Transliteration Arbaeen 1920
Second Edition printed 18 December 1920
Arbaeen No 2 – Page 22

Jis ko Aan hazrat salala ho Alaih wasalm aap izat daiytay hain, aour fermatay hain kay kaisee
khush kismat wo ummat hai jis kay Awal ser per main hoon, aour aakhir main MASIH MAOUD hai.

Aour hadisoon say saaf tour per sabat hai kay agarcha wo aik shakhas ummat main say hai
magar AMBIYAA kee us main shaan hai. Phir aisay shakhas kay haq main SALAT AOUR SALAM
keeyon ghair mozoon aour ghair mahal hai. Na maaloom kay un loggon kee aqaloon per kiaa
pathar (stone) paray kay jis shakhas ko tamaam nabi ibtadaiy duniya say Aan Hazrat salala ho
alaih wasalam tuk izat daytay aaiy hain, us ko aik aiyasa zaleel samaghtay hain kay SALAT AOUR SALAM bhee us per kehna haraam hai. yahee wajaah to hai kay hum baar baar un logon ko mutanabahy (warn/inform) kertay hain Kay khudaa say darow, aour samgoh (understand/realise) kay jis shakhas ko MASIH MAOUD ker kay biyaan fermayaa giaa hai, wo kutch mamooly aadmi naheen hai. Bulkay Khudaa kee kitaboon main us kee izat AMBIYAA ALAIH SALAM kay hum pehloo rakhee gaiee hai. Tumm agar naa maano tow tum per hamaara jabar naheen, laykin agar kitaabain daykho gay to yahee paow gay. Aour agar yay kaaho kay MASIH MAOUD to wo hai jo asmaan say utertaa daikha jaaiy gaa,

**footnote: Aan hazrat salala ho alaih wasalam ko Mairaaj kee raat main kisee nay naa charthaa daikha aour naa utertaa, to phir kiaa un logon kaa farzee masih Aan Hazrat SAW say afzal thaa.**

To yay Khudaa Taala per jhoot our us kee kitaab kee mukhalifat hai. Khudaa taala kee Kitaab
Quran Shareef say yai qataee faisla ho chukaa hai kay Hazrat Eisa Alaih Salam Fout ho gaiy hain. Taajub kay khudaa Taala to Quran Shareef kay kaee maqaam main Hazrat Eisa kee wafaat zaahir fermaata hai, aour aap logue us ko aasman say utaar raahay hain. Kiaa ub Quran Shareef kay kissay bhee mansoukh ho gaiy? Yay wohee Quran hai gis kee aik ayat sun (to hear) ker aik lakh sohaaba nay ser jhukaa diyaa tha.

Page 23:
Aap ko maaloom ho jaiy gaa kay masih kee nisbat Quran kia kehta hai. Aap yaad rakhain kay iis
qadar hayaat e masih per jo aap zoar daytay hain, yay ber khilaaf munshaa e kalaam Ilahi hai. Aiy azeezo yaad rakho kay jo shakhas aana thaa, aa chukaa, aour Sadi jis kay ser per masih maoud aana chahay tha, us main say bhee 17 beras (years) guzar gaiy, aour is sadee main gis per ummat kay AOULIYA kee nazrain lagee hooi theen, is main baqoul tumharay aik jhotta (false) saa mujadid bhi naa paidaa hooa, our mahez aik dajjal paida hooa, kiaa in shokhioun (mischiefs) kaa hazrat e izaat kee dergaah (court) main jawab daynaa naheen paraay gaa. Go kaysay hee dill sakhat ho gaiy hain, aakhir is qader to khouf chahayaa thaa, kay jo shakhas sadi kay ser per paida hooa, aour ramazan kay kasoof aour khasoof nay us kee gawahee dee, aour islam kay mojouda sanaaf (do not know the meanings) aour dushmanon kay matawaater (continous) humlon nay is kee zaroorat sabat kee aour AMBIYYA guzashta kay kashoof nay is per kataee (firm/absolute) mohar (stamp) lagaa dee kay woh CHOUDHAWEEN SADI kay ser per paida ho gaa, aour naiz yay kay PUNJAB main ho gaa.

DIFERENCES IN THE:
Arbaeen, part of Ruhani Khazian vol 17, pages 369 – 371, printed in 2008
corresponds with page 22 and 23 OF ORIGINAL BOOKLET PRINTED IN 1920.
PAGE 369

Jis ko Aan hazrat salala ho Alaih wasalm aap izat daiytay hain, aour fermatay hain kay kaisee
khush kismat wo ummat hai jis kay Awal ser per main hoon, aour aakhir main MASIH MAOUD hai. Aour hadisoon say saaf tour per sabat hai kay agarcha wo aik shakhas ummat main say hai
magar AMBIYAA kee us main shaan hai. Phir aisay shakhas kay haq main SALAT AOUR SALAM
keeyon ghair mozoon aour ghair mahal hai. Na maaloom kay un loggon kee aqaloon per kiaa
pathar (stone) paray kay jis shakhas ko tamaam nabi ibtadaiy duniya say Aan Hazrat salala ho
alaih wasalam tuk (her it means also/including) izat daytay aaiy hain, us ko aik aiyasa zaleel
samaghtay hain kay SALAT AOUR SALAM bhee us per kehna haraam hai. yahee wajaah to hai
kay hum baar baar un logon ko mutanabahy (warn/inform) kertay hain Kay khudaa say darow, aour samgoh (understand/realise) kay jis shakhas ko MASIH MAOUD ker kay biyaan fermayaa giaa hai, wo kutch mamooly aadmi naheen hai. Bulkay Khudaa kee kitaboon main us kee izat AMBIYAA ALAIH SALAM kay hum pehloo rakhee gaiee hai. Tumm agar naa maano tow tum per hamaara jabar naheen, laykin agar kitaabain daykho gay to yahee paow gay. Aour agar yay kaaho kay MASIH MAOUD to wo hai jo asmaan say utertaa daikha jaaiy gaa,

**footnote: Aan hazrat salala ho alaih wasalam ko Mairaaj kee raat main kisee nay naa charthaa daikha aour naa utertaa, to phir kiaa un logon kaa farzee masih Aan Hazrat SAW say afzal thaa.** To yay Khudaa Taala per jhoot our us kee kitaab kee mukhalifat hai. Khudaa taala kee Kitaab Quran Shareef say yai qataee (final/absolute) faisla ho chukaa hai kay Hazrat Eisa Alaih Salam Fout ho gaiy hain. Taajub kay khudaa Taala to Quran Shareef kay kaee maqaam main Hazrat Eisa kee wafaat zaahir fermaata hai, aour aap logue us ko aasman say utaar raahay hain. Kiaa ub Quran Shareef kay kissay bhee mansoukh ho gaiy? Yay wohee Quran hai gis kee aik ayat sun (to hear) ker aik lakh sohaaba nay ser jhukaa diyaa tha.

PAGE 370
……………………………………….
Aap ko maaloom ho jaiy gaa kay masih kee nisbat Quran kia kehta hai. Aap yaad rakhain kay iis
qadar hayaat e masih per jo aap zoar daytay hain, yay ber khilaaf munshaa e kalaam Ilahi hai. Aiy azeezo yaad rakho kay jo shakhas aana thaa, aa chukaa, aour Sadi jis kay ser per MASIH
MAOUD aana chahay tha, us main say bhee 17 beras (years) guzar gaiy, aour is sadee main gis
per ummat kay AOULIYA kee nazrain lagee hooi theen, is main baqoul tumharay aik chota (small/little) saa mujadid bhi naa paidaa hooa, our mahez aik dajjal paida hooa, kiaa in shokhioun(mischiefs) kaa hazrat e izaat………….

PAGE 371
…………kee dergaah (court) main jawab daynaa naheen paraay gaa. Go kaysay hee dill sakhat ho gaiy hain, aakhir is qader to khouf chahayaa thaa, kay jo shakhas sadi kay ser per paida hooa, aour ramazan kay kasoof aour khasoof nay us kee gawahee dee, aour islam kay mojouda sanaaf (do not know the meanings) aour dushmanon kay matawaater (continous) humlon nay is kee zaroorat sabat kee aour AOULIYA guzashta kay kashoof nay is per kataee (firm/absolute) mohar (stamp) lagaa dee kay woh CHOUDHAWEEN SADI kay ser per paida ho gaa, aour naiz yay kay PUNJAB main ho gaa………….

_____________________________________________________________________________________________
Links and Related Essay’s

ARBA‘IN, a book by MGA, quotes and data – ahmadiyyafactcheckblog

Why did MGA claim that per the Quran, the Messiah would arrive in the 14th century? – ahmadiyyafactcheckblog

https://www.tiktok.com/t/ZT8YVy4EY/

_____________________________________________________________________________________________
Tags

#ahmadiyya #ahmadiyyafactcheckblog #messiahhascome #ahmadiyyat #trueislam #ahmadianswers #ahmadiyyamuslimcommunity #ahmadiyya_creatives #ahmadiyyatthetrueislam #ahmadiyyatzindabad #ahmadiyyatrueislam #ahmadiyyamuslim #mirzaghulamahmad #qadiani #qadianism