Intro
As we all know, Mirza Nasir Ahmad knew that Ahmadis were set to attack the teenagers of the Nishter Medical College on May 29th, 1974. He left town on that very day and will never write or talk about his whereabouts on that day, nor did Mirza Tahir Ahmad ever comment on his location during the attacks, Mirza Masroor is also silent. Whatever the case may be, I have re-produced the speech that was made just after the train attacks. He basically admits that some rogue-Ahmadis did in-fact attack the teenagers and hurt them.
The speech
Mirza Nasir Ahmad’s Khutbah of May 31st, 1974
Here is a Friday Sermon right after the attack in which Hazrat Mirza Nasir Ahmad (rh) has addressed this incident: pages 534-536
https://www.alislam.org/urdu/sermon/FST19740531-UR.pdf
Khutbat-e-Nasir Vol 5 Page 533
Khutba Jummah 31 May 1974
Saari dunya ki taaqatain mil kar bhi ghalba Islam ke khuda’i mansoobay ko na-kaam nahi bana sakteen.
Khutba jummah farmoodah 31 May 1974 ba-muqaam masjid aqsa rabwah.
Ta’ashud o ta’awuz aur surah fatiha ki tilawat ke baad huzur anwar ne darj zeel aayat-e-kareema tilawat farmaeen: (Quran Ch 34 verse 36).
Phir huzur anwar ne farmaya:
Ummat mussalma ko in aayaat me in bunyadi sadaaqataun se mut’araf karaya gaya hai. Ek to yeh ke agar ummat mussalma Allah ta’ala ki ita’at aur Muhammd (SAW) ki ita’at se amlan baahir nikalnay ki kaushish karay to un ke a’maal ka maud nateeja nahi niklay ga aur un ke a’amaal baatal ho jaein ge aur doosray yeh ke dunya jitna chaahay zaur laga lay vo ummat mussalma par, agar vo ummat Islam par haqeeqi mani me qaim ho kabhi ghalib nahi aa sakti.
Alw aur ghalba ummat mussalma ke hee muqaddar me hai aur us ki waja yeh hai farmaya ‘wallaahu ma’a kum’
Ke in ka ek haqeeqi ta’aluq Allah ta’ala se hota hai aur jis ka haqeeqi aashiqana aur aajizana ta’aluq Allah ta’ala se ho, us ke naik amaal, vo amaal jin ke acchay nateejay nikaltay hain, jin amaal ke nateejay me Allah ta’ala ki razaa pehlay se ziyada haasil hoti rehti hai un amaal me kammi nahi aati balkay izaafa hota rehta hai.
Khuda ta’ala ki safaat ka har doosra jalwa pehlay se barrh kar haseen, pehlay se ziyadah azeem un kay saamnay zaahir hota hai. Pas hamaray muqaam ki pehli shart yeh hai ke Allah ta’ala ki ita’at kee jaey aur us ke rasool ki ita’at kee jaey. Hamein sakhti se is baat ki taakeer kee gaee thi ke gaaliyaun ka jawaab dua’aun se dena aur jab kisi ki taraf se dukh diya jaaey to us ka jawaab is rang me ho ke us ke liye such ka samaan paida kiya jaey.
Isi liye pichlay jummah ke maukeh par bhi mainay ek rang me jamaat ko khasoosan jamaat ke nau-javaanaun ko yeh naseehat kee thi ke yeh tumhara muqaam hai, issay samjho aur kissi ke liye dukh ka ba’is na bano aur dunga fasaad me shaamil na ho aur jo kuch khuda ne tumhay diya hai vo tumharay liye taskeen ka bhi ba’as hai, taraqiyaat ka bhi ba’as hai. Vo hai sabr aur dua ke saath apni zindagi ke lamhaat guzaarna.
Sabr aur dua ke saath apni zindagi ke lamhaat guzaaro magar ahle rabwah me se chand ek ne is naseehat ko ghaur se suna nahi aur is par amal nahi kiya aur jo fasaad ke halaat jaan bhooj kar aur jaisa ke qaraeen batatay hain barri sochi samjhi scheme aur mansooba ke matehet bana-aey gaey thay us ko samjhay baghair josh me aa kar vo fasaad ki kefeeyat jis ke paida karnay ki kaushish kee gaee thi mukhalfat ki tadbeer ko kaamyaab bananay me hissay-daar ban gaey aur fasaad ka maujab huay.
29 May ko station par yeh waqiah hua. Is waqt us waqiah ki 2 shakalain dunya ke saamnay aati hain. Ek vo jo intehai ghalat aur baatil shakal hai maslan ek roznama ne likha ke paanch hazaar ne hamla kar diya. Maslam yeh ke (ahmadiyaun ki taraf se) sochi samjhi scheme ke matehet aisa kiya gaya waghera waghera.
Yeh bilkul ghalat hai is me shak nahi lekin doosri shakal yeh hai ke kuch aadmiyaun ne bahr-haal apnay muqaam se gir kar aur khuda aur us ke rasool ki ita’at ko chhorr tay huey fasaad ka jo mansooba dushmanaun ki taraf se banaya gaya tha ussay kaamyaab karnay me shaamil ho gaey. Is se inkaar nahi kiya jaa sakta aur chunkay aisa hua aur agar dushman ko aap kay 10 aadmi ek hazaar nazar aatay hain to is se aap ki bura’at nahi hoti yeh to Allah ta’ala ki shaan hai lekin aap ki bura’at is se nahi hoti jitney bhi us jhagray me shaamil huay.
Unhaun ne ghalti ki aur savaaey nafrat aur muzamat ke izhaar ke, un ke is fayl ke khilaaf hum kuch kar nahi saktay na Imam jamaat ahmadiyya aur na jamaat ahmadiyya. Is liye unhaun ne to ghalti kee aur chunkay vo dushman ki sochi samjhi tadbeer thi aur ek nihayat bhiyanak mansooba mulk ko kharaab aur tabaa karnay ke liye banaya gaya tha, ab is me aap ka ek hissa shaamil ho gaya aur ab mulk ke ek hissay me aag lagi hui hai aur is aag ko is rang me hawa dee jaa rahi hai ke yeh shiddat ikhtiyaar karay gi.
Yeh aag jahaan lagi hai wahaan 1953 ki aag se ziyada shadeed taur par lagi hui hai. Is waqt hakoomat-e-waqt ziyada tadbar (intellectively) aur ziyada insaaf se kaam le rahi thi. Is waqt jo reportain aa rahi agar vo durust hain to in se yeh nateeja nikal sakta hai ke hakoomat-e-waqt na tadbar se kaam le rahi hai aur na insaaf se kaam le rahi hai.
Bahr-haal yeh to tehqeeq ke baad hee pata lagay ga lekin is se inkaar nahi kiya jaa sakta ke jin hissaun me aag lagi hai wahaan 1953 se ziyada shiddat ke saath is fasaad ke shelay bharrak rahay hain aur is ke nateejay me ba’az Ahmadi-aun ke dilaun me ghabraahatt bhi paida ho sakti hai.
Mein haqeeqat bayaan karnay ke liye yeh kehta houn warna mera yeh kaam nahi tha ke mein yeh bataaoun ke un ko kya karna chahiye. Jo sayasatdaan hain un ko apna mufaad khud samajhna chahiye. Agar nahi samjhain ge to dunya me hakoomatain aati bhi hain jaati bhi hain. Meri is se koi gharz nahi mein to mazabhi aadmi houn. Naseehat karna mera kaam hai, un ko bhi ek rang me naseehat kar dee. Samjhana samajhna uk ka kaam hai lekin asal cheez mein aap ke saamnay awwal yeh laana chahta houn ke jinhaun ne bhi ghalti kee, ghalti kee hai aur humein is cheez ko tasleem karna chahiye.
Doosray yeh ke sirf unhaun ne ghalti nahi ki balkay unhaun ne apni na-samjhi ke nateejay me dushman ke ek sochay samjhay mansoobay me shamuliyat kee aur jamaat ke liye bhi pareshaani ke saamaan paida karnay ke maujab banay aur mulk ke liye bhi kamzori ka saamaan paida karnay ka maujab banay, mein samajhta houn aur mein unhain yeh naseehat karna chahta houn ke vo kam az kam das hazaar martaba astaghfar karein aur tauba karein aur Allah ta’ala se apnay gunah ki maafi maangain. Jo bhi is maamlay me shaamil huay hain mujhay un ka ilm nahi lekin jo bhi shaamil huay hain vo kam az kam das hazaar martaba astaghfar karein aur khuda ta’ala ke hazoor aajizana jhukain aur apni bhalai ke liye aur khud ko Allah ta’ala ki naraazgi se bachnay ke liye das hazaar martaba us se maafi maangain aur us ke hazoor aajizana jhukay rahain jab tak Allah ta’la unhain maaf na kar de.
Doosri baat mein jamaat ke mukhlis, samajhdaar, fidaai hissay ko yeh batana chahta houn ke aag to barri shiddat se bharkaai gai hai lekin yeh na-kaam ho gi. Insha’Allah ta’ala na-kaami is menay me nahi ke kisi Ahmadi ko bhi mukhtalif qism ki qurbaniyaan nahi daini parrain gi. Vo to daini parrain gi jab tak jamaat-e-ahmadiyya ke ahbaab vo aur is kism ki tamaam qurbaaniyaan khuda ke hazoor paish nahi kartay jo qurbaaniyaan ke nabi akram sallal laahu alaihi wassallam ke sahaba ne khuda ke huzoor paish ki theen us waqt tak vo un inamaat ko bhi haasil nahi kar saktay jo sahaba nabi akram sallal laahu alaihi wassallam ne rab kareem se haasil kiye thay lekin dunya ke kisi damaagh me agar yeh baat aaey ke saari dunya ki taaqatain mil kar bhi Allah ta’ala ki ghalba Islam ki is tadbeer aur Allah ta’ala ke ghalba Islam ke is mansoobay ko na-kaam bana sakti hain jis gharz ke liye ke jamaat ahmadiyya qaim kee gai thi to hamaray nazdeek vo ruhaniyat se door honay ki waja se na-samjhi ke halaat rakhnay wala hai. Yeh to ho nahi sakta ke khuda ta’ala ka yeh mansooba na-kaam ho jaey….
.Aur muhabbat aur pyaar ke saath in logaun ke dilaun ko jeeto jo apni na-samjhi ki waja se yeh samajhtay hain ke vo aap ke dushman hain. Tum ne yeh saabit karna hai ke tum un ke dushman nahi ho balkay tum hee un ke kheraah ho, tum hee un ke haqeeqi pyaar karnay waalay ho, tum hee un ke dukhaun ko door karnay ke liye paida kiye gaey ho. Tum ne un ke oopar itna ihsaan karna hai ke un ko Muhammad sallal laahu alaihi wassallam ke ihsaan ki ma’arfat haasil ho jaaey. Vo chotti bohot hi buland hai jahaan tak Muhammad sallal laahu alaihi wassallam ka ihsaan pohnchaya lekin khaardaar jhaarriyaan beech me hain vo nazar nahi aa raheen. In khaardaar jhaarriyaun ko tum ne muhabbat aur pyaar ke saath saaf karna hai aur phir is muhabbat aur pyaar ke nateejay me jo ek noorani fiza paida ho gi us se unhain pata lagay ga ke hamara musan-e-azeem jo tha (sallal laahu alaihi wassallam) us ka kya muqaam tha.
Is ke liye kaushish karni hai. Chhotti chhotti baataun ke peechay parr kar apnay auqaat zaa’eh na karo aur khwa waqti taur par hee kyoun na ho doosraun ko ibtila me na ddaalo aur jo aisay mansoobay hain jo ghlaba Islam ki raah me rrorray urrkanay walay hain un mansoobaun me khud ko shaamil na karo. Tum is kaam ke liye nahi paida kiye gaey. Dua-ain karo aur sabr se kaam lo aur hammah waqt khidmat ke liye tayyaar raho aur jis shakhs ko yeh vehm hai ke vo aap ka ashad tareen dushman hai apni pyaari khidmat ke saath us ke is vehm ko door karnay ki kaushish karo ta ke jo hum chahtay hain vo humein jald tareen mil jaey. Khuda karay ke aisa hi ho.
_____________________________________________________________________________________________
Links and Related Essay’s
https://ahmadiyyafactcheckblog.com/2016/12/16/ahmadis-are-wrong-from-birth/
https://ahmadiyyafactcheckblog.com/?s=panama
https://ahmadiyyafactcheckblog.com/2018/09/06/atif-mians-conversion-to-ahmadiyya-story/
The Mirza family loves the persecution, they call it free press
https://ahmadiyyafactcheckblog.com/?s=1974
https://ahmadiyyafactcheckblog.com/?s=King+Faisal
https://ahmadiyyafactcheckblog.com/?s=Balogan
_____________________________________________________________________________________________
Tags
#ahmadiyya #ahmadiyyatrueislam #ahmadiapartheid #Ahmadiyyat #rabwah #qadian #meetthekhalifa #muslimsforpeace #ahmadiyyafactcheckblog #nolifewithoutkhalifa #AhmadiMosqueattack #AhmadiyyaPersecution #Mosqueattack #trueislam #atifmian
8 Pingback